Tum jo ho to ye lagta hai
Kya hai duniya ye tere bin
Dekhenge tumko jee bhar ke
Aana fursat se phir ek din
Phir ek din fir ek pal
Phir tujhko mehsoos karlunga main
Phir tujhko seene se laga kar ke
Seene mein bharlunga mai
Phir teri zulfo mein
Phir meri ungliyaan pheru zara
Pal bhar ko phir tujhe
Apna toh karlunga main
Maine Raatein Guzaari
Tere ishq mein saari
Kuch sard guzaari
Kuch dard ke maari
Deedaar tera mile toh so jaun
Kal saaf the dil ke
Aaj hai kaale
Koi tujhsa kahan hai
Jo humko sambhale
Baahon mein bharle mujhe
Ke ro paun
Ye Narazgi Hai kis baat ki
Hai kya dil mein wo Jo kehte nahi
Zara si nazar ghuma lo idhar
Itne bhi bure hai hum toh nahi
Ek Aag lagi hai seene mein
Aur tu barsaat ka paani hai
Thoda bheegu tujhmein to phir sambhal paun
Tere neel nayan ki kashti mein
Ab saari umar bitani hai
Phir doobun main chahe ya tarr jaun